Mehfil-e-Shayari

Monday, March 31, 2008

Har lafz ko....

Har lafz ko kagaz par utara nahi jata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki batein,
Yuhi is khel me hara nahi jataa....

Agar aansu na....

Agar aansu na hote to annkhe itni khoosurat nahi hoti...
Jo dard na hota to khushi itni kimti nahi hoti...
Jo mangne se mil jata sab kuch...
To khuda ki bhi zarurat nahi hoti!!!!

Ae zindagi...

Ae zindagi yu mujhse daga na kar.....
Mein zinda rahu ye dua na kar....
Koi dekhta hai usko to hoti hai jalan...
Ae hawa tu bhi use chuaa naa kar!!!!

Manzil ka rasta...

Manzil ka rasta mil jata agar dipak koi jalate tum...
Ye khali lamhe bhar jate agar khud ko Chhalkate tum...
Lafz hoto se girkar u na aate kagaj par agar khamosh juba sun pate tum...
Khashmkash me fasi ummide tadap kar na u hume tadpati .....
mere intezaar ka agar koi sila de pate tum!!!!!

Thukra ke usne...

Thukra ke usne muzko kaha k muskurao...
me has diya, aakhir sawal uski khushi ka tha....
Mene khoya jo mere tha nahi...
Par usne khoya "WO" jo sirf usi ka tha!!!!

Chor du jaha...

Chor du Jaha ke saare sukh...
Tu jo mujh pe Katm ho jaye...
Safar kate kuch itminaan se...
Rahee jo humkadam ho jaye!!!

Ishq aur dosti..

Ishq aur dosti meri zindagi ka unwan hai,
ishq meri rooh, dosti mera imaan hai,
Ishq pe ker doon fida main apni saari zindagi,
magar dosti per mera Ishq bhi qurban hai..

Wednesday, March 26, 2008

Khud se bhi....

Khud se bhi chupa li hai teri bewafai
Meri parda poshi ke aalam ko tum kya jano
Jo bol utha to khul jayenge sab bhed
Meri khamoshi ke aalam ko tum kya jano..

Kisi shayar ne...

Kisi shayar ne ye baat badi
Soch samajh ke kahi hogi,
Ki duniya ki sabse khoobsoorat hansi
Kisi aansoo ke peeche chupi hogi !!!

Shikwa bhi....

Shikwa Bhi Karenge, Shikayat Bhi Karenge,
Zindagi Mein Kayi Log Bichrda Bhi Karenge,
Tu Door Rahe Ya Paas Humaare,
Har Saans Mein Tujhko Hum Yaad Karenge..

Abb hadoon se...

Abb hadoon se door hai ye sahen kar pana sey
meri jaan yeh nazana, kahi rah na jaye aafsane sey,
mana ke ruk jatey hai dilke baat jubaan par lane sey,
par ye to pyar hai chiptana nahi chipaney sey,
hume pucha hai kai dafa zalim jamane sey. ...

Tuesday, March 25, 2008

Sawaal paani ka....

Sawaal paani ka nahi pyaas ka hai....
Sawaal maut ka nahi saans ka hai...
Pyar karne wale dunia mein bahut hai magar....
Sawaal pyaar ka nahi vishwaas ka hai!!!!!

Dard sehne se...

Dard sehne se nahi darte hai hum..
Par uss dard ke katm hone ki koi aas to ho...
Dard chahe jitna bhi dardnaak ho...
Par dard dene wale ko uska ehsaas to ho!!!

Wo dhundte rahe...

Wo dhundte rahe rahe hume idhar udhar...
Shayad unhe hamari talaash thi...
Par afsoos jis kabar par the unke kadam...
Usi me dafan hamari laash thi!!!!

Hasin palo ko....

Hasin palo ko phir aabaad kar rahe the...
Chand se apki baat kar rahe the...
Dilo ko bada sukun mila jaankar...
Ki aap bhi hame yaad kar rahe the!!!!

Tum kya ho....

Tum kya ho humare liye, hum keh nahin sakte,
Bas itna ki zinda tum bin hum reh nahin sakte,
Phir na kehna kabhi humse ki chorh do hum ko,
Sirf khyaal hi judai ka tumse, hum seh nahin sakte !!

Rishte kaanch ke...

Rishte kaanch ke bane hote hai inhe,
Bahut sambhal kar rakhna..
Inhe tootne me ek pal hi lagta hai...
Par ye judne me barso le lete hai...

Saturday, March 22, 2008

Chaand ko zami pe...

Chaand ko zami pe lane ki zidd thi..
Hume unhe apna banane ki zidd thi..
Acha hua ki wo pahle hi be-wafa ho gaye warna..
Unhe pane kliye is zamane ko jalane ki zidd thi!!

Nahi chahiye chaand...

Nahi chahiye chaand nahi chahiye taare..
Dunia me koi insaan hote hai pyaare..
Aap hai unme se ek ek taare..
Kya zindagi bhar DOST rahoge aap hamare??

Lehro se...

Lehro se milkar na wo beh sake na hum..
Ek duje ke dil me na wo reh sake na hum..
Jeet lete aasma ek din lekin...
Palko ki khamoshi ko hotho se na wo keh sake na hum!!!

Bahut udaas hai...

Bahut udaas hai koi shaksh tere jaane se..
Ho sake to laut aa kisi bahane se..
Tu lakh khafa sahi magar ek baar to dekh..
Koi toot gaya hai tere rooth jaane se..

Zikr jab bhi...

Zikr jab bhi aap apno ka kiya karo..
Naam hamara bhi liya karo..
Tarif na sahi burai hi sahi..
Par apne alfazo me jagah hume bhi diya karo..

Mene apno ko dur...

Mene apno ko dur hote hua dekha hai..
Jo mila nahi use khote hue dekha hai..
Log kehte hai phool sada haste hai magar..
Mene gulshan ko bhi rote hue dekha hai!!

Aitbaar na ho to...

Aitbaar na ho to azma ke dekh lena...
Is dil ke tukde karwa ke dekh lena...
Har tukde me apni hi dosti nazar aayegi...
Chahe koi bhi tukda utha ke dekh lena!!!

Zindagi ke har...

Zindagi ke har mod par sunahri yado ka ehsas rehne do..
Surur dil mein aur zuba pe mithas rehne do...
Yahi fasana hai jeene ka...
Na khud raho udas na dusro ko rehne do!!!

Haal-e-dil...

Haal-e-dil sunkar kya paoge tum???
Do ghadi rologe phir pachtaoge tum..
Hum to kahte hai k mohabbat nahi karo e logo..
Mohabbat se bada zakhm paoge tum....

Waqt mile to....

Waqt mile to humne yaad kar lena..
Pal pal na sahi din mein ek bar kar lena..
DOST hogey tumhare hazaron par..
Hum akele hain itna khayal kar lena!!

Na koi pal subha..

Na koi pal subha hai,

Na koi pal sham hai,

Har pal her lamha aapki dosti ke naam hai,

Isse sirf ek shayari maat samajna,

Ye hamari pyari dosti ka salam hai...

Nigaho mein aur koi....

Nigaho mein aur koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka aur koi sahil na raha,
Chand jaisa dost mila humein zamin par,
Aasma ka chand bhi aab deedar k kabil nahi raha..

Jaroorat hi nahi...

Jaroorat hi nahi alfaaz ki,
Dosti to cheez hai bas ehsaas ki,
Paas hote to manzar hi kya hota
Dur se khabar hai hume aapki har saans ki.......

Chiragon se...

Chiragon se agar andhera duur hota,
To chand ki chahat kisse hoti,
Kat sakti agar akele zindagi,
To dosti naam ki cheez na hoti.......

Kitne waqt ke bad...

Kitne waqt ka intezar ke baad mila humko,
Wo bhi khuda se badhkar yaar mila humko,
Na rahi tammana kisi jannat ki,
E dost teri dosti se wo pyar mila humko......

Nazar mila ke...

Nazar mila k humse nazar chura mat lena,
dost bana k humko begana bana mat dena,
mana ki hum dur hai aap se,
is baat ko bahana bana kar humko bhula mat dena.........

Thursday, March 20, 2008

Tumhari saalgiraah...

Tumhari Saalgiraah par yehi Duaa hai meri,
Ki aisaa Rauz-E-Mubaarikk Hazaar baar aaye,
Tumhari Hansti hui Zindagi ki Raahon mein,
Hazzaar Phool luttaati hui Bahaar aaye!!!
Janamdin Mubarak!!!

Tumhari is ada...

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi accha sa phool hota to mali se mangvate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du...

Janamdin Mubarak!!!

Dua hai ki...

Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himat se mushkilon ka samana karna
hamari dua hai ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga.
Happy Birthday

Rangon se bhi...

Rangon se bhi rangeen zindagi hai humari,
rengeeli rahe yeh bandagi ha humari,
kabhi ne bigde ye pyar ki rangoli,
aye mere yaar aisi HAPPY HOLI.

Rang,gulab...

Rang, gulab aur preet ki holi,
khushi, mauj aur ikrar ki holi,
aaj saji rangoli hai,
rango mein semti holi hai,
khushi mein dubi holi hai, bura na mano holi hai.
H O L I M U B A R A K

Kha ke gujia...

Kha ke gujia pee ke bhang
Laga ke thoda, thoda sa rang
baja ke dholak aur mridang
khelenge holi hum tere sang
Holi Mubarak!

Shradha sadbhawna...

Shradha sadbhawna masti aur
bhaichare ka hai tyohar,
Rango se jode mohabbat ke taar,
Har taraf ho rango ki bahar,
Wish you a Happy Holi

May God...

May God gift u all the colors of life,
colors of joy, colors of happiness,
colors of friendship, colors of luv n
all other colors u want to paint in ur life.
Happy Holi.

Rango ke tyohar me...

Rango Ke Tyohar Me Sabhi Rango Ki Ho Bharmar,
Dher Saari Khushiyo Se Bhara Ho Aapka Sansar,
Yahi Dua hai Bhagwan Se Hamari Har bar..
Holi Mubarak!

Nature ka har...

Nature ka har rang ap pe barse,
Har koi apse holi khelne ko tarse;
Rangde aapko sab itna,
K aap rang chhudane ko tarse.
Enjoy colors. Happy Holi.

Ten sardars...

Ten sardars and one girl were hanging below helicopter on rescue rope,
Pilot: One of u must leave because overload.

Girl: I ll sacrifice!

All sardars Clapped!!!!

Wednesday, March 19, 2008

Apni toh har...

Apni Toh Har Shaam Nashe Me Guzharti Hai,
Apni Toh Har Shaam Nashe Me Guzharti Hai,
Ek Din Shaam Nashe Me Hogi,
Aur Hum Guzhar Jaayenge...

Masti aankhon....

Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi...
Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi..
Tu bhi jaan le mere dost...
Dosti dil me hoti hai.. dikhawe me nahi...

Raat gumsum...

Raat gumsum hai magar chaand khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.

Ye jo pine....

Ye jo pine pilane ki baat karate hai,
unse kahe do hum bhi kabhi piya karate the,
jitni tum piya karate the,
utni to hum khali paymano me chhod diya karte the...

Lehro ke saath....

Lehro Ke Saath Khelta Lehra Ke Pi Gaya,
Saaki Ki Har Nigah Pe Bal Kha Ke Pi Gaya,
Maine To Chhod Di Thi Par Rone Lagi Sharab,
Main Uske Aansuon Pe Taras Kha Ke Pi Gaya.

Mein nazar se pee...

Mein nazar se pee raha hu, ye samaa badal na jaaye,
Na jhukaao tum nigahein, kahin raat dhal na jaaye ,
Mere askh bhi hain is mein, ye sharaab ubal na jaaye,
Mera jaam chhune waale, tera haath jal naa jaaye ,
Abhi raat kuch hai baaki, na uthaa naqaab saaqi ,
Tera rind girte girte, kahin phir sambhal na jaaye...

Shaam hote hi...

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

Aankh milte hi....

Aankh milte hi jawaani ka mazaa aayega,
tujhko angoor ke paani ka mazaa aayega,
har nazar apni shauk gulaabi kar de,
itni peele ke zamaane ko sharaabi kar de..

If dentists make films, d names will be..

If dentists make films, d names will be -
*Daant ho na ho
*Jaanam brush karo
*Aa ab clean karen
*Kabhi teeth kabhi gum
*Humara daant aapke paas hai!

Movie titles related to eng. students

Movie titles related to engg students:
exams - socha na tha,
classes - kabhi kabhi,
question papers - na tum jano na hum,
copying - yaarana,
maths2 - asambhav,
maths1 - mission impossible,
environmental sciences - pyar mein kabhi kabhi,
1st semester - kuch to hai,
2nd semester - yeh kya ho raha hai,
distinction - kal ho na ho,
1st class - raju bangaya gentleman,
2nd class - dil mange more
fail - phir milenge

Aur bhi chize...


Aur bhi chize lut chuki hain dil ke sath..
yeh bataya doston ne ishq farmane ke baad..
is liye kamre ki ek ek chiz check karte hai hum..
" ek tere ane se pehle eik tere jane ke baad"

Hazaro ladkiya...

Hazaroo ladkiya asi ke..
har ladki pay dam nikle..
Jis ladki pay dam nikle...
wo ladki ghar se kam nikle!!!

Kabhi ki hogi suraj ne...

Kabhi ki hogi suraj ne chand se mohabbat,
isliye chand main daag hai...
mumkin hai chand ne ki hogi bewafayi suraj se,
tabhi to suraj main aag hai...

Aap se dur....

Aap se dur bhala kaise rah pate
dil se aapko kaise bhula paate
kash ki ap sanso k alawa aaine main bhi hotey
khud ko dhekhte to aap najar aatey...

Jinki aankhen.....

Jinki aankhen aasuon se nam nahi..
kya samajhte ho unhe koi gam nahi...
Tum tadap ke ro diye to kya....
Gam chupa ke bhi hasne wale kam nahi....

Rahen ulfat...

Rahen ulfat chala ke dekh liya,
Tere dar par bhi aake dekh liya,
Tumhare liye pyaar ek khel hay,
Tum se dil laga ke ye dekh liya!!

Dil gumsum...

Dil gumsum juban khamosh,
Yeh aankhe aaj nam kyon hai,
Jab tujhe kabhi paya hi nahi tha,
To aaj tujhe khone ka gam kyon hai...

Hasino ne hasin....

Hasino ne hasin bankar gunah kiya,
Auro ko to thik hai par humko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlon me unki bewafai ko,
Auro ne to thik unho ne bhi wah wah kiya...

Na salaam yaad....

Na salaam yaad rakhna,
Na paigamm yaad rakhna,
Ho sake to zindagi mein
Hamara naam yaad rakna..

Dil ke dard...

Dil ke dard ko dil Todne wale kya jane,
Pyaar ke riwazo ko yeh zamana kya jane,
Hoti hai kitni Taklif kabar me,
Wo upar se phool rakhne wale kya jane...

Gamo k bina zindagi...

Gamo k bina zindagi adhuri hai..
Ae musafir phir bhi tera jeena jaruri hai....
Mat ho apni zindagi se khafa...
Kyuki teri zindagi ke bina bhi ek zindagi adhuri hai...

Tuesday, March 18, 2008

Kitna bebas....

Kitna bebas hai insaan kismat ke aage
kitne dur hai sapne hakiqat ke aage
Koi rooki hui dahdkan se puche
Kitna tarapta hai ye dil mohobbat ke aage..

Gam jatana...

Gam jatana hume aata nahi..
Use dhuhe mein udhana hume aata nahi....
Sochte hai haskar bhula de gam ko...
Par kya kare Roye bina gam bhulana huma aata nahi...

Tamaam umra...

Tamaam umra zindagi se dur rahe...
Teri khushi k liye apni khushi se dur rahe....
Ab isse badkar WAFA ki saza kya hogi....
Ki tere hokar bhi tujhse dur rahe.....

Karoge yaad...

Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko...
Chale jayenge dis din hum kabhi na wapas aane ko...
Chedega mehfil me zikr hamara koi...
To chale jaoge tum tanhaii me aansu bahane ko.....

Tumse kya kahu....

Tumse kya kahu ab pyar ke naam se darr lagta hai
Phir se wo karar woh intezar se ab darr lag raha hai
Ye duniya hi aisi hai jahan dil lagana to ek khel hai
Ekbar ye dil haar k phir wohi wafa nibhane ko ab darr lag raha hai..

Pyar karoge...

Pyar jo karoge rusawai hi milegi...
kitni hi wafa nibha lo...
Ant me Be-wafai hi milegi....
chahe lakh bana lo kisi ko apna...
jab aankh khulegi to tanhaii hi milegi.....

Itni be-rukhi...

Itni Be-rukhi to na rakho humse....
Ye dil na jaane kyu bahut darta hai...
Tumhari ek pyaar bhari nazar paane k liye...
Shayad ye dil dhadakta hai...

Us nazar....

Us nazar ki taraf mat dekho...
Jo apko dekhne se INKAAR karti hai....
Duniya ki is mehfil me us nazar ko dekhiye...
Jo apka INTEZAAR karti hai....

Jab humne...

Jab humne unse pucha sapna kya hota hai
Toh unhone muskurake kaha
Bandh aankho mein joh apna hota hai
khuli aankhon mein wahi sapna hota hai…

Kadam yu....

Kadam yu dagmaga gaye raste se...
Warna sambhalna hum bhi jante the....
Thokar bhi lagi to us patther se....
Jise hum apna khuda maante the....

Mere dil ka dard..

Mere dil ka dard kisne dekha hai...
Hume to bas ansuon ne tadapte dekha hai...
Hum tanhaii mein rote rehte hai...
Logo ne hume aksar mehfil mein Haste dekha hai..

Qu dete ho dard...

Qu dete ho dard bas humi ko...
Qu nahi samajhte in aankho ki nami ko...
U to lakho Diwane honge Chaand ke...
Par Chaand bhi mehsus karta hoga `Ek taare` ki kami ko...

Zhil me chaand....

Zhil me Chaand nazar aye ye hasrat uski....
Kabse Aankho me liye bethe hai Surat uski...
Ekdin mere kinaro me simat jayegi...
Theare hue paani si Mohabbat uski....

Meri aur jo....

Meri aur jo teri nazar ho gayi....
Saari duniya udhar se idhar ho gayi...
Aakhri saans mai geen raha tha magar...
Tumne dekha to lambi umar ho gayi...

Har dhadkan mein...

Har dhadkan mein ek raaz hota hai,
Har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
Jab tak thokar na lage bewafai ki,
Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai..

Unhe to adat hai..

Unhe adat hai zakhm dene ki,
apni to fitrath hai gam chupane ki,
ab tho adat si pad gayi hai ansu pii jaane ki
kya haseen saza mili hai ek bewafa se dil lagane ki..

Mehfil me kuch...

Mehfil me kuch to sunana padta hai,
Gam Chupakar Muskarana Padta hai,
Kabhi Ham bhi Unke mohabbat the,
Aajkal Unhe Yaad Dilana Padta hai...

Monday, March 17, 2008

Soch samajh ke...

Soch samajh ke aap hume bhulane lage,
itne dur huye ki bahot yaad aane lage,
Kaise bhula du aapko ek pal me,
Jab aapko pane me hume zamane lage...

Kaha koi mila...

Kaha koi mila jispe dil luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete...
Apne dard dil hi me rakhte hain,
Karte bayan to mehfil ko rula dete....

Majburiya hamari....

Majburiya hamari wo jaan na sake...
Farmano ko hamare wo maan na sake..
kehte hai wo hume markar bhi chahenge..
jite ji hume jo pehchaan na sake....

Sapno ki tarah

Sapno ki tarha aakar chale gaye,
Apno ko bhula kar chale gaye...
Kis bhool ki saja di Usne,
Pehele to hasaya bahut pir rula kar chale gaye...

Jabse suna hai...

Jabse suna hai humne ke tum be-wafaa ho,
Tumharee kasam hum mite ja rahe hain..
Ye dunia bhee jhoothee , ye zamaana bhe jhootha,
Yahi soch kar hum baas jiyee ja rahe hain...

Jis din tumse..

Jis din tum se dil laga baithe,
Tanhai me gamo ki mehfil laga baithe,
Tum to kho gaye is duniya ki bheed me,
Or hum apni hi duniya me aag laga baithe...

Bahut kam hote...

Bahut Kam hote hain log zamane me log aise,
Sachai chahat ki jine pehchan hoti hai,
Itna soch lena kisi par mar mitne se pehle,
Ki gawane ke liye ek hi jaan hoti hai..

Na jane uspar....

Na jane uspar itna Yakin qu hai...
Uska khayal itna hasin qu hai....
Suna hai pyar ka dard meetha hota hai...
To fir aankho se nikala aansu namkeen qu hai???

Pyar karo....

Pyar karo... pyar ki koi hadd nahi hoti....
Do dilo ke bich koi sarhadd nahi hoti....
Apne dilbar ko to sabhi chahte hai..
Be-wafa ko chahne ki kismat sabhi ki nahi hoti...

Wo kehte hai...

Wo kehte hai ki majbur hai hum,
Na chahte hue bhi dur hai hum....
Churali unhone hamari dhadkane,
Fir bhi kehte hai Be-kasoor hai hum...

Zindagi me kabhi...

Zindagi me kabhi jyada chaha hi nai,
jisko chaha usne kabhi apnaya hi nahi....
jis-jisjo paya use kuch yu kho diya jaise,
Zindagi me kabhi koi aaya hi nahi...

Kashish bahut thi....

Kashish bahut thi mere pyar me magar...
kya kare wo pathar dil pighla hi nahi....
Agar khuda mile to usse apna pyar maangna hai...
Par suna hai ki wo Marne se pehle milta hi nahi...

Waade pe wo mere...

Waade pe wo mere aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.

Do kadam to sab chal lete....

Do Kadam TO Sab Chal Lete Hain, Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein
To Hanskar Koi Gam Naa Chupata!

Tujse milne ki justjoo..

Tujhse milne ki justjoo bhi hai...
Dil mein tu Rubaroo bhi hai...
Humne socha is dil ko jala dale..
Phir socha yaar is dil me tu bhi to hai..

Look More!!!!

SearchEngineOptimising.com, free url submission and web site promotion for registration on search engines