Mehfil-e-Shayari

Tuesday, March 18, 2008

Kitna bebas....

Kitna bebas hai insaan kismat ke aage
kitne dur hai sapne hakiqat ke aage
Koi rooki hui dahdkan se puche
Kitna tarapta hai ye dil mohobbat ke aage..

Gam jatana...

Gam jatana hume aata nahi..
Use dhuhe mein udhana hume aata nahi....
Sochte hai haskar bhula de gam ko...
Par kya kare Roye bina gam bhulana huma aata nahi...

Tamaam umra...

Tamaam umra zindagi se dur rahe...
Teri khushi k liye apni khushi se dur rahe....
Ab isse badkar WAFA ki saza kya hogi....
Ki tere hokar bhi tujhse dur rahe.....

Karoge yaad...

Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko...
Chale jayenge dis din hum kabhi na wapas aane ko...
Chedega mehfil me zikr hamara koi...
To chale jaoge tum tanhaii me aansu bahane ko.....

Tumse kya kahu....

Tumse kya kahu ab pyar ke naam se darr lagta hai
Phir se wo karar woh intezar se ab darr lag raha hai
Ye duniya hi aisi hai jahan dil lagana to ek khel hai
Ekbar ye dil haar k phir wohi wafa nibhane ko ab darr lag raha hai..

Pyar karoge...

Pyar jo karoge rusawai hi milegi...
kitni hi wafa nibha lo...
Ant me Be-wafai hi milegi....
chahe lakh bana lo kisi ko apna...
jab aankh khulegi to tanhaii hi milegi.....

Itni be-rukhi...

Itni Be-rukhi to na rakho humse....
Ye dil na jaane kyu bahut darta hai...
Tumhari ek pyaar bhari nazar paane k liye...
Shayad ye dil dhadakta hai...

Us nazar....

Us nazar ki taraf mat dekho...
Jo apko dekhne se INKAAR karti hai....
Duniya ki is mehfil me us nazar ko dekhiye...
Jo apka INTEZAAR karti hai....

Jab humne...

Jab humne unse pucha sapna kya hota hai
Toh unhone muskurake kaha
Bandh aankho mein joh apna hota hai
khuli aankhon mein wahi sapna hota hai…

Kadam yu....

Kadam yu dagmaga gaye raste se...
Warna sambhalna hum bhi jante the....
Thokar bhi lagi to us patther se....
Jise hum apna khuda maante the....

Mere dil ka dard..

Mere dil ka dard kisne dekha hai...
Hume to bas ansuon ne tadapte dekha hai...
Hum tanhaii mein rote rehte hai...
Logo ne hume aksar mehfil mein Haste dekha hai..

Qu dete ho dard...

Qu dete ho dard bas humi ko...
Qu nahi samajhte in aankho ki nami ko...
U to lakho Diwane honge Chaand ke...
Par Chaand bhi mehsus karta hoga `Ek taare` ki kami ko...

Zhil me chaand....

Zhil me Chaand nazar aye ye hasrat uski....
Kabse Aankho me liye bethe hai Surat uski...
Ekdin mere kinaro me simat jayegi...
Theare hue paani si Mohabbat uski....

Meri aur jo....

Meri aur jo teri nazar ho gayi....
Saari duniya udhar se idhar ho gayi...
Aakhri saans mai geen raha tha magar...
Tumne dekha to lambi umar ho gayi...

Har dhadkan mein...

Har dhadkan mein ek raaz hota hai,
Har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
Jab tak thokar na lage bewafai ki,
Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai..

Unhe to adat hai..

Unhe adat hai zakhm dene ki,
apni to fitrath hai gam chupane ki,
ab tho adat si pad gayi hai ansu pii jaane ki
kya haseen saza mili hai ek bewafa se dil lagane ki..

Mehfil me kuch...

Mehfil me kuch to sunana padta hai,
Gam Chupakar Muskarana Padta hai,
Kabhi Ham bhi Unke mohabbat the,
Aajkal Unhe Yaad Dilana Padta hai...

Look More!!!!

SearchEngineOptimising.com, free url submission and web site promotion for registration on search engines