Mehfil-e-Shayari

Wednesday, March 19, 2008

Apni toh har...

Apni Toh Har Shaam Nashe Me Guzharti Hai,
Apni Toh Har Shaam Nashe Me Guzharti Hai,
Ek Din Shaam Nashe Me Hogi,
Aur Hum Guzhar Jaayenge...

Masti aankhon....

Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi...
Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi..
Tu bhi jaan le mere dost...
Dosti dil me hoti hai.. dikhawe me nahi...

Raat gumsum...

Raat gumsum hai magar chaand khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.

Ye jo pine....

Ye jo pine pilane ki baat karate hai,
unse kahe do hum bhi kabhi piya karate the,
jitni tum piya karate the,
utni to hum khali paymano me chhod diya karte the...

Lehro ke saath....

Lehro Ke Saath Khelta Lehra Ke Pi Gaya,
Saaki Ki Har Nigah Pe Bal Kha Ke Pi Gaya,
Maine To Chhod Di Thi Par Rone Lagi Sharab,
Main Uske Aansuon Pe Taras Kha Ke Pi Gaya.

Mein nazar se pee...

Mein nazar se pee raha hu, ye samaa badal na jaaye,
Na jhukaao tum nigahein, kahin raat dhal na jaaye ,
Mere askh bhi hain is mein, ye sharaab ubal na jaaye,
Mera jaam chhune waale, tera haath jal naa jaaye ,
Abhi raat kuch hai baaki, na uthaa naqaab saaqi ,
Tera rind girte girte, kahin phir sambhal na jaaye...

Shaam hote hi...

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

Aankh milte hi....

Aankh milte hi jawaani ka mazaa aayega,
tujhko angoor ke paani ka mazaa aayega,
har nazar apni shauk gulaabi kar de,
itni peele ke zamaane ko sharaabi kar de..

If dentists make films, d names will be..

If dentists make films, d names will be -
*Daant ho na ho
*Jaanam brush karo
*Aa ab clean karen
*Kabhi teeth kabhi gum
*Humara daant aapke paas hai!

Movie titles related to eng. students

Movie titles related to engg students:
exams - socha na tha,
classes - kabhi kabhi,
question papers - na tum jano na hum,
copying - yaarana,
maths2 - asambhav,
maths1 - mission impossible,
environmental sciences - pyar mein kabhi kabhi,
1st semester - kuch to hai,
2nd semester - yeh kya ho raha hai,
distinction - kal ho na ho,
1st class - raju bangaya gentleman,
2nd class - dil mange more
fail - phir milenge

Aur bhi chize...


Aur bhi chize lut chuki hain dil ke sath..
yeh bataya doston ne ishq farmane ke baad..
is liye kamre ki ek ek chiz check karte hai hum..
" ek tere ane se pehle eik tere jane ke baad"

Hazaro ladkiya...

Hazaroo ladkiya asi ke..
har ladki pay dam nikle..
Jis ladki pay dam nikle...
wo ladki ghar se kam nikle!!!

Kabhi ki hogi suraj ne...

Kabhi ki hogi suraj ne chand se mohabbat,
isliye chand main daag hai...
mumkin hai chand ne ki hogi bewafayi suraj se,
tabhi to suraj main aag hai...

Aap se dur....

Aap se dur bhala kaise rah pate
dil se aapko kaise bhula paate
kash ki ap sanso k alawa aaine main bhi hotey
khud ko dhekhte to aap najar aatey...

Jinki aankhen.....

Jinki aankhen aasuon se nam nahi..
kya samajhte ho unhe koi gam nahi...
Tum tadap ke ro diye to kya....
Gam chupa ke bhi hasne wale kam nahi....

Rahen ulfat...

Rahen ulfat chala ke dekh liya,
Tere dar par bhi aake dekh liya,
Tumhare liye pyaar ek khel hay,
Tum se dil laga ke ye dekh liya!!

Dil gumsum...

Dil gumsum juban khamosh,
Yeh aankhe aaj nam kyon hai,
Jab tujhe kabhi paya hi nahi tha,
To aaj tujhe khone ka gam kyon hai...

Hasino ne hasin....

Hasino ne hasin bankar gunah kiya,
Auro ko to thik hai par humko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlon me unki bewafai ko,
Auro ne to thik unho ne bhi wah wah kiya...

Na salaam yaad....

Na salaam yaad rakhna,
Na paigamm yaad rakhna,
Ho sake to zindagi mein
Hamara naam yaad rakna..

Dil ke dard...

Dil ke dard ko dil Todne wale kya jane,
Pyaar ke riwazo ko yeh zamana kya jane,
Hoti hai kitni Taklif kabar me,
Wo upar se phool rakhne wale kya jane...

Gamo k bina zindagi...

Gamo k bina zindagi adhuri hai..
Ae musafir phir bhi tera jeena jaruri hai....
Mat ho apni zindagi se khafa...
Kyuki teri zindagi ke bina bhi ek zindagi adhuri hai...

Look More!!!!

SearchEngineOptimising.com, free url submission and web site promotion for registration on search engines